Parampita Ki Hum Stuti Gaye

Artist: | Albums:



Lyrics in English

1.Parampita ki hum stuti gayen
Woh hi hai jo bachata hamein -- (2)
Saare papo'n ko karta kshama
Saare rogo'n ko karta changa -- Parampita

2.Dhanyawad dein uske aasano mei
Aanand se aayen uske charno mei -- (2)
Sangeet gaakar khushi se
Mukti ki chattan ko jai lalkarein -- Parampita

3.Woh hi hamara hai param pita
Taras khata hei sarva sada -- (2)
Poorab se pashchim hai jitni door
Utni hi door kiye hamare gunah -- Parampita

4.Maa ki tarah usne di tasalli
Duniya ke khataron mei chhoda nahi -- (2)
Khalis doodh hei kalaam ka diya
Aur dee hamesha ki zindagi -- Parampita

5.Charwahe ki manind dhoondha usne
Paapon kee keech se nikala hamein -- (2)
Humko bachaane ko jaan apni dee
Taaki haath mei hum uske rahein -- Parampita

6.Ghonsle ko barbar torkar usne
Chaha ki seekhein hum udana usse -- (2)
Paron par uthaya ukaab ki tarah
Taaki humko chot na lagein -- Parampita


Lyrics in Hindi



;