Dhanyawaad Sada Prabhu

Artist: | Albums:



Lyrics in English

Dhanyawaad sada prabhu krist tujhe
Tere sanmukh sheesh nawate hai
Hum teri aradhana karne ko
Darbar mei tere aate hai -- Dhanyawaad

1. Dhanya veeron ka is mandali ka
Tere naam pe jo balidaan hue -- (2)
Hum unke sahas tyag ko le -- (2)
Nitya aage badhte jaate hai -- Dhanyawaad

2. Jis krus par tera raqt baha
Sansaar ke papi jan ke liye -- (2)
Us krus dhwaja se prem tera -- (2)
Hum duniya mei failate hai -- Dhanyawaad

3. Apraadh shama kar daya nidhi
Bal paurush de agwayee kar -- (2)
Fir apne tan man jeevan ko -- (2)
Vedi par aaj chadhate hai -- Dhanyawaad


Lyrics in Hindi



;